RSS
Latest Hindi Shayari

New Latest Dard Bhari Shayari in Hindi


Dab-daba aayi wo ankhen jo mera naam aaya,    
ishq nakaam sahi phir bhi bahut kaam aaya !        
lazat-e-marg-e-mohabbat koi us se puchhe,        
jisake lab par dam-e-aakhir bhi tera naam aaya !!
 zindagi tere tasavur se alag rah na saki,                 
nagmaa koi ho magar saaz yahi kaam aaya !        
hum pe aisi bhi gam-e-ishq men raaten guzarin,    
jab tak ansuu na bahe, dil ko na aaram aaya !!