RSS
Latest Hindi Shayari
Showing posts with label Dard Shayari. Show all posts
Showing posts with label Dard Shayari. Show all posts

Badi umid thi unko apna banane ki

Badi umid thi unko apna banane ki,
Tamanna thi unke ho jane ki !
Kya pata jiske hum hona chahte the,
Unhe Aadat hi nahi thi kisi ko apna banane ki !!

Friends Forever Hindi Shayari

Waqt thoda hai paas mere, wo jakhm jo apno ne diye wo varnai abhi baaki hai,
Tere saath ki aadt si pd gyi hai mujhe, kuch der tere saath chlna baaki hai,
Shamsan me jalta chod kr mt jana, warna ruh kahegi ki ruk ja...
Abhi tere yaar ka dil jalna baaki hai......



Humse Khfa Ho Gaye

Apnapan sikha ke juda ho gaye !
Na socha na samjha khafa ho gaye!!
Duniya me ek bar humne kisi ko apna kaha tha !
Wo bhi logo ki bato me aakar humse khfa ho gaye!!


New Latest Dard Bhari Shayari in Hindi


Dab-daba aayi wo ankhen jo mera naam aaya,    
ishq nakaam sahi phir bhi bahut kaam aaya !        
lazat-e-marg-e-mohabbat koi us se puchhe,        
jisake lab par dam-e-aakhir bhi tera naam aaya !!
 zindagi tere tasavur se alag rah na saki,                 
nagmaa koi ho magar saaz yahi kaam aaya !        
hum pe aisi bhi gam-e-ishq men raaten guzarin,    
jab tak ansuu na bahe, dil ko na aaram aaya !!